Woh tera roothna mujh se,mera tujh ko mana lena
Muhabbat ki nishani hai,galay mujh ko laga lena
.
.
Muhabbat jiss se hoti hai,ussi pe maan hota hai
Kabhi main rooth jaaun tau mujhe tum bhi mana lena
.
.
Anaa se door hi rehna,k yeh sab kuch mita day gi
Anaa k khol se khud ko har surat bacha lena
.
.
Muhabbat k samundar mein ik tufan bhi uthta hai
Is tufan mein jaanam mujhe kashti bana lena
.
.
Agar doobain gay hum dono tau ik sath doobain gay
Mera tum se yeh waada hai,magar tum bhi nibha lena…!!!
Category Archives: QOUTE
Confucius
Anonymous
” kal dopahar mai apnay kamray mai baith ker insan ki azmat per kuch likh raha tha.
Achanak gali mai kuch shor hoa, main ne bahir nikal ker dekha
Admi admi per bhonk raha tha. Thodi door paani mai kuttay gehri neend so rahay thay
(Anonymous)
unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
ye chiragh be’nazar hai ye sitara be’zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai
wohi shakhs jis pey apney dil’o'jaan nisaar ker doun
wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai
kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai
merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai
mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai’en raha houn
tera jism be’taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai
unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai
Hasil or lahasil
Shayad main khud b usay bhoolna chahti hun
kio k kisi ko adha adhura hasil kar laina koi jeet nahi hai.
Jeet to jab hai k mai usay ya to pura hasil ker loon
ya puri tarha bhool jaoon
Momna gull
