Zinda Quam Ya Zinda Lashain

bachpan se aisi horror movies k baray mai sunti or dekhti aarahi hoon jis mai aik vampire hota hai jo apni zindagi bachanay or taweel kernay k liye doosron ka khoon p jata tha. zara apne mulk k logon per nazar daaloon to aisay kirdaar jaa’bajaa nazar anay lagay hain. Watan e Aziz per sailab jaisa azab qaher ban ker toota hai log baithay bithaye tabah horahay hain. aisay mai insaniat ka takaza ye hai k her Pakistani uth ker apnay Pakistani behan bhaion k liye jido’ juhad keray. bohat si sarkari or ghair sarkari tanzeemai, Pak afwaj k jawan apnay kamo mai masroof e Amal nzar atay hain. news channels kholo to 24 hrs sailab zadgan ki halat e zar per koi na koi reports aarahi hoti hai. ghar se niklo to raston mai besioon relief camps or banners lagay hotay hain jis se logon ko imdaad k liye pukara jata hai. log  hasb e toafique or hasb e haisiat apni apni contributions de bhi rahay hain.

TO PHIR KAMI KIA HAI?

3 roz pehlay aik news channel per khabar chali k imdadi samaan per loot maar mach gai wo log  jo bhook ki azziat seh rahay hain usay jhail rahay hain wohi doosron tk imdaadi saman puhanchanay mai rukawat ban rahay hain. chawal ki aik bori per aisi loot machi k sab danay zameeen per bikher gaye. kis k haath lagay, kon faiz pa saka, kis ki bhook mitti. aik news suni k zehrilaa khana khanay k baa’is 2 afrad jan baheq or qareeb 200 shadeed beemar par gaye. Phir news suni k logon ki wo imlak jo wo apnay gharon mai chor ka camps aaye thay un mai loot maar mach gai. phir aik news suni k aik doosray k dekha dekhi 8 siyasi jama’aton ne aik hi waqt aik hi jaga itna khana banta k logon se sambhala nahi gaya  or zaya hogaya.

kia kahoon kis cheez ki kami hai

abhi azab tala nahi hai k karachi target killing ka phir se shikar hogaya hai. 17 casualities or najanay kitnay zakhmi. Itnay afrad sailab ki nazar hogaye phir bhi insan k khoon ki pyas bujhi nahi hai. abhi to bohat kamzor baqi hain is mulk mai jin ka khoon asaaani se piya jasakta hai. sailab k paani ki tarha bahaya ja sakta hai.

kal raat se aik photage ankhon mai ghoom rahi hai 2 nojawan larkay jo k student thay un ko dandon se maar maar kar khatam ker diay. kesay soye hongay us sheher k log us sheher ki maaon ne kesay apnay seenay se lagalia hoga apnay jigar k tukdon ko. kio log KHUDA  ban rahay hai kia ghalti thi un bachon ki. is mulk mai aik soi ki chori se Tauheen e Risalat k liye bhi ACT hain akhir aisi kon si khata thi un ki jis k liye un k khilaf mukadma nahi chala or zindagi or muat k un thaikay daaron ne un ko saza di

ham zinda Quam nahi rahay. hum zinda lashain ban gaye hain. hamari aankh khoon k aansoo ro ro ker bhi khush ho chuki hai. kis kis baat ka maatam kerain kis kis baat k liye khod ko kosain. Ham to zinda rehna hi nahi chahtay to kis liye bairooni mumalik se imdaad maang rahay hain. kia milay ga hamen wohi loot maar, danga fasad,

kal muje meri behan ne aik sms kia yahan share kerna chahti hoon

kio aankh mai behtay hoe ashkon ki lari hai

chup reh meray ham watan QAYAMAT ki ghari hai

hota hai kuch guman se MAIDAN E HASHR ka

her aik MUSALMAAN ko apni hi pari hai

mit jaaye mera dais, ye haalat bana ker

atraaf ki har quam tamashay pe khari hai

Phir surkh surkh hai meray daryaaoon ka PANI

lagta hai kahin khoon ki barsaat pari hai

In ZALIMON ko hidayat day AE MERAY RAB

sub haath uthaao k DUAOON ki ghari hai

Syeda Momna Gull

megabytes tum udaas mat raha karo,,,,,,

jalatay diay k saamnay,,,,,,,,,,,,,

jhonkay hawa k dekh kr,,,,,

tum kiyon udaas ho gaye,,,,,,,,,,,,

mosam khizaan ka dekh kar,,,

tum dukhon k soz ka,,,,

mosmon k rog ka,,,,,

dard mat saha karo,,,,,

udaas mat hua karo,,,,

yeh dard hein hayaat k,,,,,

kuch rang Qainaat k,,,,,,

kuch dukh ki tez baarishen,,,,,,

kuch phool hein nishaat k,,,,,,,

tum phool bas chuna karo,,,,,,

tum udaas mat raha karo,,,,,,

megabytes Udas mat hua karo

Udas mat hua karo
Udas Mat kiya karo
YE ashk teri ankh k
Udas sham ki tarha
Barha rhe hain Dukh mera
Adhure Jaam ki Tarha
Jo ranj-o-gham k saye hain
ye Hum ne khud banaye hain
Ye khuwab tu azab hain
Jo ankh mein sajaye hain
Ye dard dhul hi jayain gay
Ye waqt beet jaye ga
Jo hum nhi tu na sahi
Koi tu jeet jaye ga
Jo taiz kr de dharkanain
Wo naam mat liya karo
Jo ho sake tu hum-nasheen
hansi khusi jiya karo
Udas mat hua karo…
 

lakh miltay hain hum bahanay se

lakh miltay hain hum bahanay se
pyar chupta nahi chupanay se

umr guzri hay dar badar apni
hum hilay thay zara thikanay se

aik jadoo sa kar gaye mujh per
kuch makan thay bohut puranay se

baat karta raha main us se magar
baat banti nahe bananay se

ho jo mumkin to ye bhi kar dekho
tum nikalo humain fasanay se

mairi chahat mein bhi wo baat na thi
wo bhi rukhsat huwa bahanay se.