Sada Muskurate Raha Karo…………..

Meri Laghzishen na Chuna karo

Meri Ghaltiyan na Gina Karo,

Ye Qadam Qadam ki Hudood kya

Mere sath sath chala karo,

main khulay mizaj ka shakhs hoon

main takallufat se Mawra,

ye jo Mehrbani ka lafz hai,

ise tum na mujh se kaha karo,

Kahin tum na ho jao besakun

koi Bad’dua na tumhain lage

ye jo khoye khoye se log hain

inhe dekh kar na hasa karo

ye dua hai Rab-e-Rahim se

Teri Tazgi ko khizan na ho

ye bahar tujh se jala kare

sada muskurate raha karo…………..

Sun Lo Sun Sako To Tum Ko Aansoo Pukaaray

Tanha Tanha Jeewan Ke
Kaise Din Guzaaray
Sun Lo Sun Sako To Tum Ko Aansoo Pukaaray

Chalte Chalte Sochain Kion Hai Doori
Jaaiyn Gey Kahan
Khuwaahish To Na Ho Gi Poori
Jaaiyn Gey Kahan 
Sun Lo Sun Sako To
Tum Ko Aanso Pukaaray

Saath Dil Ke Chale Dil Ko Roka Nahin Hum Ne
Jo Na Apna Tha Usay Toot Ke Chaaha Hum Ne
Ik Dhoke Main Kati Umer Humaari Saari
Kia Batain Kise Khoya Kise Paya Hum Ne

Dheeray Dheeray Dil Main Koi Chaahat Baqi Na Rahi
Jeenay Ki Koi Bhi Soorat
Baaqi Na Rahi
Sun Lo Sun Sako To Tum Ko Aansoo Pukaaray

Kache Kache Jo Bhi Daikhe Sapne
Aansoo Hi To Hain
Zindagi Ka Haasil Apne
Aansoo Hi Tow Hain
Sun Lo Sun Sako To
Tum Ko Aansoo Pukaaray
Tanha Tanha Jeewan Ke
Kaise Din Guzaaray
Sun Lo Sun Sako Tow
Tum Ko Aansoo Pukaaray

Ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii

chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii

ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii

Megabytes k Liye

mujsay roothay ga jab wo to muje rula daiga
phir khud hi apni sharton per muje hansa dai ga

udaas hoti hun to g kerta hai us k kandhay per sir rakh ker ro doon
muje yaqeen hai k wo hi muje hosla daiga

us roz mai zindagi se rooth jaoon shayad
jis roz wo muje apnay dil se bhula daiga

qadar us ki na koi meri tarha ker paye ga
khud us ko waqt aik din ye samjha dai ga