Monthly Archives: June 2010
Huband to Wife…
Huband: Agar main mar gaya to kiya tum doosri shadi ker logi ?
Wife: Nahi main apni Sister kay saath reh loongi.. or agar main mar gayee to kiya ap doosri shadi ker logay ?
Husband: Nahi main bhi tumhari Sister kay saath he reh loonga..
Duniya teri taraf hai Khuda mere sath hai
Tute huye dilon ki dua mere sath hai
duniya teri taraf hai Khuda mere sath hai
Awaz ghungharuon ki nahi hai to kya hua
sagar ke tutane ki sada mere sath hai
Tanhai kis ko kahate hain mujhako pata nahi
kya jane kis hasin ki dua mere sath hai
Paimana samne hai to kuch Gam nahi
ab dard e dil ki koi dawa mere sath hai
Meri taqdir me wo hai ki nahi keya malum
Kisse ye hasraten vabasta rahi keya malum,
Mushkilen kiske liye dil p sahi keya malum,
Ek hi baat p baitha hu bharosa krke,
Keya keya baaten na zamane ne kahi keya malum,
Kaun si duniya me masruf hai ALLAH jane,
Usko is dil ki khabar hai ki nahi keya malum,
Mai sar-e-sham hi darwaza khula darwaza khula rakhta hu,
Bhule bhatke se wo aa jaye kahin keya malum,
Mai ne ro-ro ke ye aankhe to suja li,
Meri taqdir me wo hai ki nahi keya malum
Jo guzar gya so guzar gya!
Na gila kia, na khfa huwy,
yonhi rasty me juda huwy,
na wo bewfa tha na main bewfa,
Jo guzar gya so guzar gya!
Wo ghazl ki aik kitab tha,
Wo gulon me aik gulab tha,
zara dair ka koi khwab tha,
Jo guzar gya so guzar gya!
Wo udas dhoop smait kar,
kahin wadion me uter gya,
Use ab na dy mery dil sda,
Jo guzar gya so guzar gya!
Ye safer b kitna taveel hy,
Yhan waqt kitna qaleel hy,
Kahan loat kar koi Aaa skaa,
Jo gozar gya so guzar gya….
