Monthly Archives: May 2010

Mujhay Insaan Matt Kehnaa…

Mujhay Insaan Matt Kehnaa…

Mujhay Insaan Matt Kehnaa…

Agar Kuchh naam dainaa ho
Mujhay Insaan Matt Kehnaa
Juda chehray Juda bay-shak sabhi k naam hotay hai’n
Magar insaaniyat k ab yaha’n per daam hotay hai’n
Mere Tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay ehsaas keh daina
Magar thehro!
Mujhay ehsaas matt kehnaa!
Mera bus naam reh jaay
Mujhay aisay nahi’n rehnaa
Mujhay ehsaas matt kehnaa
Agar kuchh naam daina ho
Mujhay saawan he keh daina
Magar Thehro!
Mujhay saawan nahi’n kehnaa
Barsata hai, magar rut k badaltay beet jaata hai
Mujhay saawan nahi’n kehnaa
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo he keh daina
Janam laina kisi ki aankh mai’n
rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansoo he keh dainaa
Magar daikho!
Kisi ki aankh mai’n mujh ko kabhi aanay nahi daina
K qeemat aansoo’on ki ab adaa tum se nahi’n ho gi
Nahi’n tum yoo’n nahi’n kehnaa
Mujhay Aansoo Nahi Kehnaa
Mujhay aankho’n main bastaa ik hasee’n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi jis ki
chalo sapna he keh daina
ke sapnay aankh mai’n taaro’n ki tarha jhilmilaatay hai’n
Magar thehro!
Mujhay Sapna nahi’n kehnaa
ke Sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apna nahi’n kehnaa
ke Apnay rooth jaatay hain

Meray dost

Meray dost

Ye post meray un doston k naam jinhai main ne hamesha apni zindagi mai aik khas jaga di

Yahan naam le ker unhai yaad keroon ya un ki khubsurat or unusual sath ko apnay zehn mai aik bar phir taza keroon

Meray dost her haal mai meray liye khubsurat ahsaas hain.

Aj jab k her aik apni life  k busy tareen schedule mai hai her dost mujhe ye ahsaas dilata hai k mai us k liye or wo meray liye kitnay ahm hain.

Kash mera her dost is post ko padhay or yahan apni kuch yadain share keray