Monthly Archives: March 2010

Jo Na Mil Sakay Wohi Bewafa

Jo Na Mil Sakay Wohi Bewafa

Jo na mil sakay wohi be-wafa

ye bari ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor ker

wohi aaj tak meray saath hai

 

jo kissi nazr se ata hoee

wohi roshni hai khiyaal mein

wo na aa sakay rahoon muntazir

ye khalish kahan thee visaal mein

meri justujoo ko khabr nahi

na wo din rahe na wo raat hai

 

karay pyar…lub pay gila na ho

ye kisi kisi ka naseeb hai

ye karam hai os ka jafa nahe

woh juda bhi reh ker kareeb hai

wohi aankh hai meray ro ba ro

osi haath main mera haath hai

 

mera naam tak jo na lay saka

jo mujhay qaraar na day saka

jisay ikhtiyar tou tha magar

mujhay apna pyar na day saka

wohi shakhs meri talaash hai

wohi dard meri hayat hai

 

Jo na mil sakay wohi be-wafa

ye bari ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor ker

wohi aaj tak meray saath hai.

wohi aaj tak meray saath hai.

“MAIN AAJ ROTH CHALA HOON MUJHE MANA K DHIKA.

“MAIN AAJ ROTH CHALA HOON MUJHE MANA K DHIKA.

Tu apnay fun se meri chahat ko aazma k dikha..

Main toot’ta hoon tu phir say mujhe bana k dikha..

Tere badan mei lahu ban k dorta hoon main..

Tujhe anaa ki qasam hai mujhe bhula k dikha..

Main itne dard mei b Qeh-Qahay lagata hoon..

Tu aik dukh mei mujhe sirf muskura k dikha..

Tujhe to main ne hamesha manaya hai lekin..

“MAIN AAJ ROTH CHALA HOON MUJHE MANA K DHIKA.